#kidscorner #cheesy #cutlets
Hello dosto,kaise ho aap sb ? Ummeed krti hoon sb acche rahe, khus rahe, life thodi hectic jaroor hai, kaam ka burden,sehat ki chinta, future ki tension or na jane kya kya .
Phir bi hm khus rehne ke bahaane talash hi lete hai kisi na kisi tarah se, wo khusi chahe weekends pr kanhi ghumne nikal jana ho,friends ke sath hang out krna ho ya phir apni pasand ki dishes cook krni ho.
Hr wo kaam jo dill se kra jaye wo behad khusi deta hai,jaise ki mujhe cooking krne main jo khusi milti hai wo dill ki khusi hoti hai,or main dill se hi bnaati bi hoon.
Waise personally mujhe traditional food jyada pasand hai, Or sirf Indian food khana pasand krti hoon, pr baccho ke liye or apne guests ke liye aajkl ke trendy dishes, fusion recipes, bhi try krti rehti hoon main aksar, kch chije aap baar baar bnate hue perfect ho jate ho, Jaise ki aaj ki dish....
" Cheese corn cutlets' ye ek aisi recipe hai, jo mere baccho ko behad pasand hai,or unhe ye bi lgta hai ki ye mujhse behtar koi ni bna sakta, Hahaha bacche hai na ,sare baccho ko unki maa ke hath ke khane se badhkr kch ni lgta ..
Aaj unki hi pasand ki recipe share krne ja rahi hoon aap sab k sath,simple,tasty and kid's favourite.
"Cheese corn cutlets bnane k liye aapko chaiye hoga ....
Ingredients- 1. Potatoes - 6 big potato boiled and mashed
2. Onion -2 small fine chopped
3.1/4 bowl sweet corns
4. 1/4 bowl grated cheese(processed or mozzarella its up to your choice, I generally used Amul processed cheese.
5.green chilles and a small piece ginger .. fine chopped .
6. Coriander (hara dhaniya) little fine chopped.
7.salt to taste
8.black pepper 1/4tsp
9. Bread crumbs -1 big bowl
10. All purpose flour( maida) 4 tsp
11. Refined oil for frying
Method - sabse pehle bolied potatoes ko mash kr le usme lumps na rahe,phir isme chop kiya hua pyaaj, hari mirch, adrak,or hara dhaniya dale, acche se mila le, 4tsp bread crumbs dale or mila le. Ab is mixture ko ek taraf rakh de.
Grated cheese or corn ko mix kr le,isme bahut light sa salt and pepper dale, filling taiyar hai .
Ab potato mixture ka ek round ball bnaaye ,use flat kr k beech main corn or cheese ka mixture fill kre or use acche se hatho se dabate hue oval shape de, dhayaan rahe cheese filling acche se potato mixture se coat ho jani chaiye nahi to fry krte waqt ye bikhar sakte hai ..
Isi tarah se sare cutlets taiyar kr lijye, or one hour ke liye fridge main rakh dijye kisi box main daal kr ..
One hour baad cutlets ko bahar nikaliye, 4tsp maida ko half glass pani main ghol kr ek patla ghol bna lijye, bread crumbs ko ek plate main dal lijye, Ab ek ek krk cutlets ko maide ke ghol main dip kijye or phir bread crumbs main acche se coat kr lijye.
sare cutlets ko isi process se taiyar krne k baad pan main refined oil garam kijye,or jb oil acche se garam ho jaye to medium heat pr thode thode cutlets daal kr golden brown colour main fry kr lijye.
Cutlets ko bnaane k kch khass tips . Kbhi bi cutlets ki shape uneven ni honi chaiye, bilkul cleanly shape dena chaiye, ni to wo fry krte wqt tut jayenge,
Maide ke ghol main dip krk bread crumbs ko bahut acche se charo taraf coat krne se cutlets ekdm crispy bnenge.
Oil ko heat krte wqt khass khyal rakhe ,oul na tej garam na thanda hi ho,tej garam hua to dalte k sath aapke cutlets upar se brown ho jayenge or andar se kacche hi rahenge.
Or agar oil thanda hua to cutlets oil main hi bikharne lgenge .
Kbhi bhi ek sath jyada cutlets ni dale pan main,thode thode hi fry kre, nhi to phir wahi baat wo naraj ho kr ek doosre se takrayenge or chur chur ho jayenge ЁЯШВЁЯШВ.Nakhre bahut hai in cutlets ke ЁЯШЕЁЯЩВ
To in sari baato ko dhyaan main rakh kr aap bhi bahut acche cutlets bna sakti hai.
Thodi si practice or perfection apne aap aa jayegi,
To jaldi kijye aapke bacche yakinan ye cutlets bahut pasand se khayenge, bnaiye or khilaiye, or batiyega jaroor ki kaise lge ?
Till then Happy cooking friends тЭд
Comments
Post a Comment