Hello and Good morning friends, .. kaisi lagi aap sbko meri kl ki basundi ki recipe ? Pls comment kr k bataiyega jaroor .Aap mere blog pr bi comment kr sakte hai. Easy recipe thi aap main se kai logo ne try bi ki ho sayad ЁЯШК ...
Friends main bahut jyada complicated recipe ni likhti apne blog main,wo jo asaani se samjh aaye,wo jinke ingredients easily available ho or jinko bnane mai jyada wqt na lge . Aajkl waise bi hr insaan bahut busy hai aise mai cooking k liye jyada time kanha hai kisi k pass, isliye kosis krti hoon, simple recipes share kroo taki beginner's ko bi bnane mai dikkat na aaye. Maine isse pehle apne blog pr "Easy Mango moouse" ki recipe share ki thi with simple ingredients.
Jo kafi logo ko pasand aai . Ye recipe usse milti julti hi hai pr taste mai bilkul alag hai.
Mangoes ka season aa gya hai,or ye sabka bahut favourite fruit hai, mango ko as a fruit to hm khate hi rehte hai,kch kch dessert bi bnaate hai, to maine bi aaj socha na kyo fresh mango k sath kch bnaate hai .
Dahi bi garmi mai jaroori hota hai acchi sehat k liye . Aaj k dessert k liye mere bs do main ingredients hai curd or mango .
Ye ek bahut hi simple recipe hai or sabse badhiya ye no cooking recipe hai , hai na majedar dessert wo bi bina kisi cooking kiye.
Ji haan simple,easy and yummy ,with less ingredients.
Is Mango yoghurt Moouse bnane k liye aapko chaiye ...
1.Mango of your choice .. 1 diced iske liye wo aam le jisme reshe na ho jyada
2. Hung curd .. one bowl .. hung curd k liye aap lgbhag 1k.g curd ko malmal k kapde mai dal kr use kisi bartan pr rakh kr raat bhar k liye fridge mai rakh de subah tk sara pani nikal jayega or aapko 1 bowl bilkul paneer jaisa dahi milega ,jise hung curd kehte hai
3. 4tsp milk maid or grinded sugar or icing sugar jo bi available ho aapke pass, or ek baat meetha aap apne taste k hisab se reduce kr sakte hai use 4 tsp k bajay 2tsp ya 3tsp as per your taste dal sakte hain.
4. Few drops vanilla essence (optional)
5.garnish k liye few mango Julians or ek cherry ya koi bi fruit .
Bnane ki vidhi ... hung curd ko ek bade bowl main dale usme milk maid ya sugar jo aap dal rahe ho use dal kr halke hatho se mila le thode mango dice dale or vanilla essence,sbko acche se mila le ..
Phir ek wine glass le usme pehle diced mangoes dale upar se yoghurt mix pour kre acche se set kre ,mango Julians or cherry se garnish kre or chilled serve kre .
Bahut sare taste k sath aapki garmiyon ko rahat dega ye simple no cooking dessert .
Or baccho ko to bahut pasand aayega yakinan.
To der kis baat ki turant taiyari kije or bna daliye .. hope aap sabko bi pasand aayegi,jaise ki mujhe,maine bs abi apne liye ye ek glass taiyar kiya hai jiski pic main neeche share kr rahi hoon aap sb k liye .ЁЯШНЁЯШН

Comments
Post a Comment